Aalam-e-Baala Se..

Posted on by

Aalam E Baala Se MOIN AKHTAR Ki Dilchasp Guftagu

000000A Conversation with [Late] Moin Akhtar from Heavens Above!

Ali:

Yaar Moin Bhai Aap kahan Hain?

Moin Akhtar :

Main Yehin hoon paagal, bas nazar nehin aaunga, Meri Marzi- Tu Apni Suna Chitte?

Ali:

Ha Haha main theek hoon Moin Bhai, Aap ko yaad karta Hoon.

Moin Akhtar:

Abay Gadhe, hum koi bhoolne wali cheez hain.

Ali:

Nehin Nehin, moin bhai Aap jaisa toh waaqai koi nehin. Yahan Pakistan mein na Hindustan mein. Balke Saari Duniya mein Aap jaise buhat kam hongen, Yaqinan.

Moin Akhtar:

Dekh bay chitte tu karle jitni tareef karni hai, main wapas aane wala nehin. Buhat behtarin jagah par hoon. Tum samajhte ho main mar gaya hoon, Abay marey huye toh tum log ho. Ha Haha.

Ali :

Moin bhai Aap hum logon se naaraz hain?

Moin Akhtar:

Abay maray logon se kya narazgi. Dekh bay tamasha na kar, Rona hai toh apne gunahon par ro bacchu, main toh yahan buhat mazay mein hoon aur jab wahan thha toh kaun se roz phone karta thha mujhe tu?

Ali:

Karta toh thha Moin bhai, buhat kam, magar jab bhi hamari baat hoti thhi, buhat dil chasp hoti thhi aur pehle toh aksar concerts mein bhi mulaqat hojaya karti thhi, wahan bhi chher chhar se baaz nehin aate thhey aap, aur yeh aap mujhe chitta kiyun kehte thhey bheyi?

Moin Akhtar:

Chitte, abay tujhe chitta nehin kahoon toh aur kya kahoon, Amma ne teri tujhe maloom nehin kya khilaya pilaya hai, Tu umar chor hai, mujh se do chaar saal bara hi hoga, dekh bay sharafat se yahan aa ja, wahan kuch nehin rakha.

Ali:

Moin Bhai Aap hum logon ko yaad karte hain?

Moin Akhtar:

Haan buhat karta hoon, mujhe sab logon ne buhat pyar diya, bade ehsaanat hain logon ke mujh par, main kaise bhool sakta hoon….

Ali:

Haan magar aap bade aala zarf insaan hain, aap ne logon ke saath nibhaya bhi toh buhat moin bhai.

Moin Akhtar:

Beta bas koshish hi ki, ab bhi na jaane kitne log hongen jo mujh se roothe huye hongen. Insaan kehin na kehin koi kami chhor deta hai, tab hi toh woh insaan hai. Bas jitne bhi logon ka saath mila, woh sab bhale aur achhey insaan thhey.

Ali :

Magar Moin bhai, yaqeen nehin aata keh aap chale gaye.

Moin Akhtar:

Bas parwardigaar se hamesha yehi dua ki key izzat se uthhana. So woh puri huyi, buhat dil udaas hota thha, jab koi fankaar kasma pursi ke aalam mein marta thha. Main ne buhat saal pakistan mein aur phir pakistan se bahar mulk ka naam roshan kiya magar bas itna hi kar saka keh kuch paisa apna biwi aur bachchon keliye jama kar loon, shukar hai mere Rab ka Us Ne buhat izzat di.

Ali:

Waaqai Moin bhai Allah ne aap ko buhat izzat di. Aap ne logon keliye kiya bhi buhat kuch …. Aap kehte thhey, jahan zaroorat hai, wahat dikha kar do aur jahan zaroorat nehin hai, wahan aisa do keh khud bhi yaad na rakho… Moin bhai aap ke inteqaal ki khabar jangal mein aag ki tarah phail gaye thhi. buhat log roye thhey us din, main toh door khara sab dekh raha thha. kareeb aane ki himmat nehin thhi.

Moin Akhtar:

Haan jaane wala achha ho ya bura, do chaar aansoon toh rukhsat par mil hi jaate hain beta…

Ali:

Nehin Moin bhai, har aankh ashq baar thhi. Kuch log sakte ke aalam mein khare thhey, kuch zaaro qatar ro rahe thhey, bachche burhe jawaan sab thhey. Aap toh duniya mein bhi isi shaan se thhey aur jaate waqt bhi… wohi gaarion ki lambi qataaren, wohi logon ka walehana pyar, wohi aapki ek jhalak dekhne ko beqarar… Moin Bhai yaad hai aap ke aksar programon mein bhi logon ka yehi haal hota thha.

Moin Akhtar:

Haan hota thha aur tu bhi aksar mere saath in programon mein hota thha, manhoos teri Purani Jeans phati ya nehin. Dekh bay tere bhaashan sunte hongen aam log, main Moin Akhtar hoon, yeh mat bhoolna kabhi baytey.

Ali :

Yehi toh bhool gaye thhey shaayad  . Aap ke fan ki qadar duniya mein kahan nehin huyi. Aap itne bare artiste thhey, magar aap ne kabhi koi naaz nakhra nehin dikhaya. Hamesha logon se muhabbat se mile. Apne se junior ki bhi izzat ki. Kitne hi fankar aise hain, jo aapko dekh dekh kar kuch bane hain aur kitnon ki toh aap ne jitna mumkin hua madat ki … Moin bhai kuch aisa nehin hosakta ke aap wapas aa jayein?

Moin Akhtar:

Abay ahmak aisa mumkin bhi hua toh nehin aaonga. Sukoon ki jagah rehta hoon na koi shor na koi sharaba, na koi yahan kisi ko jaan se marta hai aur na koi kisi ka kuch chhinta hai. Aur Zeyada baatein na bana. Chitte Tu bhi Lahore mein aik baar mujh se larda thha haalake is mein meri koi ghalti nehin thhi.

Ali :

Haan Moin bhai! Aap ki koi ghalti nehin thhi, bas main aap ke kehne par wahan gaya thha. Organizer ne meri wapsi ke ticket ka kuch bhandah kar diya thha aur main aap par baras para, mujhe maaf kar dein.

Moin Akhtar :

Abay Chal, tujhe maaf kardoon… Gori chamri ke, tu idhar aa phir baat karoonga tujh se, kam bakht mujh se pehle teri baar thhi, pata nehin tu kaise bach gaya. Teri shaadi wale din maloom nehin kisi ne mujhe bhang ka paan khila diya aur main subha ” Khai Ke Paan Banaras Wala” Gaata raha. Tu idhar aa bachchu, dekh loonga tujhe. Meri yahan bhi upar tak puhanch hai aur sun aate huye woh zaroor lana jis ki yahan ashud zaroorat hai.

Ali:

Kya Moin Bhai?

Moin Akhtar:

Nanna na ban chitte, Achhe aamal aur kya… aur dekh bay sab ko bata dena yaad se, bare bare nannhe pare hain, phir kahein gen bataya nehin thha. Main Ijazat

chahta hoon. Bas Aaj keliye itna kaafi hai, Mere bachhe khush reh.

Article Written By. Ali Haider