Musical Concerts Par Pabandi….?
Music Ke Kisi Program Mein Ladkiyon Ne Kabhi Kya Shor Kya Hoga Jo Punjab Assembly Mein Badi Badi Aurton Ne Kiya!
Suna hai punjab assembly mein koi aisa bill manzoor hua hai ke jis mein ab schoolon aur collejon mein musiclal concerts par pabandi hogi… waah waah bada behtareen kaam kiya hai. Bas isi aik faisley ka bechaini se intezaar thha, baqi to aap logon ne tamam kaam mukammal kardiye hain. Aur kuch bacha bhi nehin thha karne ko…. Maloom nehin ke is faisley par qaim hain ya is tareekhi faisley mein koi raddo badal ho chuka hai, magar achanak punjab assmbly ke ijlaas ke darmeian kuch khwateen ki tareekhi performance dekhne ki saadat naseeb huyi… kisi concert mein kabhi lardkiyon ne kya shor kiya hoga jo punjab assembly mein itni badi badi aurton ne kiya… Ijlaas ke andar to kiya, bahar nikal kar bhi kya khoob kiya. Bhai mazaa aa gaya. Waah keya performance thhi…. Hum log to dar hi gaye thhey ke ab schoolon aur collejon mein to pabandi lag gayi hai, ab kahan hongen aisey concerts jis mein ladkiyan khul kar shor kar paayeingin, magar dil ko tasalli huyi ke schoolon, collejon mein na sahi, punjab assembly mein to yeh sab kuch hoga aur buhat khoob hoga…kitni pyari lag rahi thhin badi badi aurtein chillatey huye. Aap ne aksar mehndiyon, shadiyon waghaira mein lardkiyon ko shor kartey huye to dekha hoga keh “Dulhan waalon ke totey udd gaye” ya phir ” Totey waalon ke Dulha udd gaye” magar un par ghussa nehin aata, kiyunke who khel hota hai, magar yeh itni badi badi auratein keya khel rahi hain, samajh mein nehin aata. keya in ke hosh o hawaas, totey aur dulha sab udd chukey hain… Mera khayal hai Pakistan mein aurton ki wrestling mamnu hai, magar yeh tareekhi khel bhi mera khayal hai assmbly mein hi hoga aur kya khoob hoga… Din aur tareekh ka bechaini se intezaar hai… Geo badi badi aurton geo aisi tareekhi performance de kar is se bhi zeyada badi ho jaao…
Aksar pop singers apne concert mein ladkiyon aur ladkon ka muqabala zaroor karwate hain ke kon zeyada shor karega… ladkiyan apni bareek aur chubhti huyi awazon ki wajah se aksar ladke unhein bila wajah jitwa bhi detey hain. Apni bari mein itna shor nehin karte jitna ladkiyon ki baari mein karte hain aur woh bhi patli awaaz bana kar… Ya Allah ajeeb shor hota hai, woh kanon mein agley din tak saayen saayen hota rehta hai. Kuch pop singers itne dil phenk hotey hain keh agar ladke jeet bhi jaayein to woh naak par chashma utaar kar dhetaai se kehengen jahan tak mera khayal hai haal mein mojud meri behnein jeet gayi hain. Is dhetaai par aksar kutaayi bhi lag chuki hai, magar baaz nehin aate. Kuch aurtein back stage apne sheer khuwaar bachchon ko zaroor le aati hain aur israr karti hain ke mera 6 mahine ka bachcha aap ka deewana hai, isey godh mein lekar tasweer banayein. Bachchey ke bahane woh khud tasweer banwana chahti hain aur be chara bachcha is darmiyaan bilak bilak kar rota rehta hai.
Aksar pop singers ke chashme unhin bachchon ne tap kar todey hain. Woh bachchey un singers ko bilkul us tarah yaad rakhtey hain jaisey apne doctors ko ke jo in bachchon ke kulhon par tikey lagata hai. Aienda woh usey door se hi dekh kar chilla kar rota hai.
Ajeeb ajeeb waqeyaat hojatey hain back stage, Stage se zeyada kabhi kabhi back stage ki kuch baatein zeyada yaadgar hotin hain. Bhaarat mein kuch saal pehle mera aik show thha, Kolkata shehar mein music ke bade qadardaan hain, chunke mera taaluk Pakistan se hai aur style bhi us zamaney mein koot koot kar bahrey thhey,Isliye khwateen ki aik badi taadat mujhe, wahan dekhne aa gayin. Concert hua aur buhat khub hua aur aakhiri gaaney mein ladkiyon aur ladkon ka muqabla karane ke baad main back stage aagaya. Bhaarat mein agar zeyada rush hua aur artist maqbool ho toh back stage fans se mulaqat ya tasveer khinchwaney ka bhi mukammal intezaam hota hai, Aik baaqaida line banai jaati hai aur log baari baari aap se autograph letey hai ya tasveer khinchwatey hain aur sukoon se chale jaatey hain. Baharhaal, us concert mein bhi back stage par kaafi lambi line thhi, main badi dair se dekh raha thha key sirf aik ladki ladki akele us line se alag aik koney mein khadi thhi aur us ke haath mein aik badi si kitab thhi ya shaayad writing pad thha aur buhat ghussey mein kabhi mujhe dekhti thhi aur kabhi organisers par barham hoti, main samajh nehin paya aur line mein lagey ladke ladkiyon ko autograph deta raha.
Kafi dair baad aik organiser mere paas aaya aur kehne laga ” Yeh ladki badi dair se khadi hai, isey farig
kardein.” Main ne kaha” To Usey bhej do.” Kehne lagey ” Woh buhat ghussey mein hai aur line mein nehin lag sakti, kehti hai aap us ke paas jaayein.” Main bada hairaan hua, baharhaal sab ko taqreeban farig karke us ke paas puhancha, to mujhe dekhte hi boli “fursat mil gayi aap ko” maine kaha ” Aap kon?” kehne lagi ” Main koi bhi hoon, pehle jaldi se yeh kitaab bharein. ” Maine us kitab par nazar daodayi to is mein kam az kam 100 sawalat thhey, har warq par aik sawaal…. Itne sawaalon ka jawab wahin khadey khadey bharna na mumkin thha. Main ne maazrat ki organiser ke saath apni gaadi ki taraf chaldiya. Jab tak gaadi mein baith nehin gaya, woh maloom nehin keya keya aol fol bolti rahi, uski awaaz itni tez thhi ke shishey band honey ke bawajood mujhe sunayi de rahi thhi… Bas aaj yehi Kehna Thha keh concert mein yeh aawazen achhi lagti hain magar assemble mein nehin.
Written By. Ali Haider