“Khamoshi Behtar Hai”
khamoshi behtar hai, hai na… bajaye iske ke hum cheekh chilla machaein apne aap ko tamasha banaein aur log khamoshi se hamara jaaeza lein aur munh par aur peeth peechhe hamein pagal kehte phirein… hamein kuch aisa rawiyya ikhtiar karna chahiye ke hamien pagal kehne waale bhonkein aur hum khamoshe se sunein… apas ki baat h…ai chahe log hum par bhonkein ya hum logon par hona howana kuch nehin isi liye kehte hain khamoshi behtar hai… sayaney kehte hain pehle baat ko tolo phir bolo hamare yahan to bas bolo bolo hai tolo wolo ka koi scene nehin…
Kehte hain khamoshi ibadat hai ghor kiya to andaza hua khamoshi soch ke darwazey kholti hai. Aap ne yaqeenan ghar mein ya kehin khandaan mein ya phir pados mein aisa shakhs zaroor dekha hoga jiski umar zara zeyada hogi mizaaj mein shadeed chird chirda pan hoga, gali mein ghalti se khailte huye agar unke ghar ball chali jaaye to pehle to woh ball ke do tukde karke bahar phenkengen aur agar meherbani karke aisa na kiya to bachchon ko woh salawaten sunayeigen keh mohalle ke bachche unka naam “Pagal uncle” rakh kar hi dum lengen is mein un bachchon ka bhi kya qasoor… aik ‘chhodu uncle” bhi hote hain unki bhi sunein zara is type ke hazraat chhod chhod kar itne chhodu ho chuke hote hain keh inhen yeh tak yaad nehin rehta keh kal konsi chhodi thhi aur kiyun chhodi thhi… Yeh duniya ke har hisse mein ghoom chuke hote hain geographia, siyasat, mazhab, science o khail waghaira waghaira aap in se kisi bhi moazu par baat to karen ke dekhen yeh aap par aisi chhodeingen keh aap ke kaan puk jaayein magar yeh baaz nehin aayeigen aise log hamesha naye log dhoodte hain kiyunke pehli doosri mulaqat mein aksar log in ki chhodi huyi sach jaante hain magar purane dost mohalle daar ya rishte daar aise chhoduon se khoob waqif hote hain aur aksar khar dimagh type log munh par hi tok dete hain keh dekh bay ab agar tune chhodi toh ghar chhhod kar aaunga… Oye huye yeh keh diya ghar chhod ka aaunga! aise logon ki chidd hoti hai ghar, abhi abhi mukhbir khaas ne itla di keh aise log sirf ghar mein khamosh rehte hain kiyunke ghar mein bolti hain “chhodan begum” ji haan jaise ko hamesh taisa hi milta hai aur wohi gham bhoolane keliye yeh din raat maare maare ghoomte rehte hain aur jab jahan jaisa moaqa mile wahan kuch nehin chhod kar dil ka ghubaar halka kar lete hain…
Unkalon ki waise to buhat saari aksaam hain magar “pagal uncle” aur “chhodu uncle” aap ko har gali muhalle ke kisi na kisi kone mein zaroor dikhayi deingen… Baat horahi thhi khamoshi ki aur yeh keh khamoshi soch ke darwaaze kholti hai apni sochon mein gum apni gaadi mein ghar ke paas aik round about par khada thha aur intezaar kar raha thha keh mera diya hua badam shake ka order jaldi se aaye aur mein ghar jaaun… Ji haan badam ka shake hamare ghar se thhode faasle par aik round about se zara pehle aik fresh milk shop hai wahan milta hai aur behtareen hota hai waise bhi suna hai keh badam zehan ko taazgi aur taaqat bakhashta hai… abhi saamne se akhtar khan mere chhar badam shake laata hua nazar hi aaya thha ke gaadiyon ka aik toofan doosri taraf se namoodar hua raat ke 12.30 ho rahe thhey aur gadiyon ke horn itne zordaar baj rahe thhey keh jaise qayamat ka soor phonka ja chuka ho chaaron taraf gadiyaan he gadiyaan horn hi horn Allah ki panah kaun log hain yeh ghor kiya toh maalum chala yeh toh koi baarat hai, dulha dulhan bagghi mein aur chaaron taraf man chale, unki gadiyaan aur horn aik na khatam hone waala silsila baharhaal thhodi dair mein saare mohalle ko jagah kar aur traffic ka nizaam darham barham karke baarat aage bardh gayi aur main apne badam shake lekar aage bardh gaya abhi dimagh ko zara sa control karke apni gadi ko ghar ke paas waale signal tak hi puhancha thha keh kya dekhta hoon signal to khula hai magar do log apni apni gadiyon mein bethhe kuch gappon mein masroof hai aur yeh tak nehin jaante keh pichhe traffic unki wajah se ruka hua hai. Main nehin jaanta un mein se pagal uncle kaun thhe aur chhodu uncle kaun magar maine apna haath horn par bilkul utni hi shiddat se rakhkhe jitne un manchale baaratiyon ne rakhkhe huye they, Bas aaj tumse yeh kehna thha ke main kis munh se kahoon keh khamoshi behtar hai…
Written By: Ali Haider