Manager Ne Un Ke Jaali Gulukaar Hone Ki Pol Khol Di.
Aaj se dus saal pehle zehen mein yeh khayal ubhra keh main kuch likhun. Qalam uthhaya kuch warq ikhette kiye aur likhne bethh gaya. Shandaar music daur thha aur hazar achhe burey waaqeyaat thhey. Socha thha, buhat kuch likh daloonga magar sab se pehle itne saare auraaq jama karke bhi kya likh pay…a thha, Aeiye aap ke saamne pesh karun.
” Dosto! sochta hoon aap ke liye likhun, magar kya? kaise? Are intne saare waaqeyaat zehan mein hain, magar yeh qalam saath kiyun nehin de raha? sochta hoon abhi waqt nehin aaya, jab aaye ga toh zehan bolega aur qalam zaroor likhe ga…. wada.”
Chand roz qabl Moin Akhtar [Late] keliye likhne ko betaab hua. Likhne bethha thha un ke fun par, magar column ne aik dilchasp guftagu ki surat ikhteyar karli, jisey logon ne buhat pasand kiya. Khass taur par un logon ne jo jaante thhey Moin bhai mujhe pyar se “abay chitte” keh kar mukhatib karte thhey aur mujhe apne bachon ki tarah samajhte thhey. Jahan tafreehi kalmaat sunne ko mile, wahin aik ilzaam bhi yaron ne dhar diya keh Ali Haider kisi aur ka likha hua apne naam se chhapwa raha hai. Ajeeb baat hai, yeh kaun farig hai jo, jo mujhe itna likh likh kar de raha hai aur main kitna be sharam hoon keh apne naam se chhap waye ja raha hoon.
America mein do larkon ka group thha, jinhon ne music ki duniya mein tehalka macha diya thha, is music group ka naam “Milli Vanili” thha. Grammy awards ke ilawah na jaane kaun kaun se bare awards inhon ne jeete achanak aik din in ke manager ne bhaanda phord diya keh MilliVanili ke saare naghmat kisi aur ke gaaye huye hain aur yeh do larke sirf munh chalate hain. Is par buhat hangama hua aur akhir kaar grammy walon ne apna award bhi wapas le liya. Press conference mein Milli Vanili gaate aur chillate rahe magar kisi ne un ki aik na suni aur woh tareekh ka hissa ban gaye.Ab dekhiye main kisi se likhwa raha hoon. Yeh bhanda kon aur kab phordega. Khair rehne dein yahan toh bade badon ke bhaande phoot gaye, magar koi in kakuch na kar saka, rahi hamari aur aap ki kismat toh woh toh baat baat par phoot ti rehti hai. Is keliye pareshan hona chhod dein, jin ko zeyada pareshani hai, who akele bade kamre mein aaeene ke saamne khade ho jaayein, apne aap ko tiktiki baandh kar dekhte rahein aur hazaar baar mukhtalif pose maarte huye ” Pareshani na khappe” ka wird jari rakhein. Chand roz qabl mere saath aik ajeeb waaqeya roonuma hua, jis ne mujhe itna jalali kardiya keh apna haq maangne high court puhnch gaya aur aik dhunwan daar press conference bhi kar dali, qissa mukhtasir yeh keh moqami company ne mera album “Kee Jana Main Kaun” release kiya aur sachchi baat hai keh pareshaan bhi kiya aur waada khilaafi bhi ki. Maine apne haq ke liye aawaz uthhai aur press conference mein bhi khoob shor kiya, jis ka natiga yeh nikla keh moqami company company ko apni ghalti ka ehsaas hua aur unhon ne mujh se maazrat ki, jis par main ne unhein maaf kardiya. Ladaai jhagda koi achhi baat nehin magar apne haq keliye aawaz uthhana is se bhi zeyada buri baat hai, balke buzdili hai, aik buhat bardi company ne mera yehi album “Kee Jana Main Kaun” India mein chand roz pehle release kardiya. Tamaam funkaaron, sahaafiyon, aur media ka dil se mashkoor hoon keh kade waqt mein mera saath diya. Khaas taur par Bushra Ansari, Saleem Javed, Hassan Jehangir, Faakhir,Dr. Huma Mir, aur Faisal Sabzwari ka nehayat mashkoor hoon ke arbabe ikhteyar tak meri aawaz puhanchai aur main khuda ke fazl se sur khuru hua. Baat shuroo huyi thhi, mere column likhne ki, ab aap isey mera likha samjhein ya kisi aur ka, magar yeh mere naam se hi chhape ga, aur agar kisi ko zeyada pareshani hai toh wohi bada sa kamra aur akele aap aeene ke saamne mazeed bewaqufi ke pose maaren aur “preshani na khappe” ka wird jaari rakhhe.
Written By. Ali Haider