Moin Bhai..

Posted on by

“Haan Show Chaltey Rehna Chahiye Magar Moin Akhtar Ke Baghair Show Kabhi Waisa Nehin Hosakta”

000000Aaj 22 April, 2012, hai aur hamarey liye buhat dukh bhara din hai kiyunke aaj se aik saal qabl duniya-e Shwobiz ka aik azeem sitara jahan-e-fani se kooj kar kar gaya . Kehte hain jo log khuda ko buhat pyare hotey hain unhein woh apne paas jald bulaleta hai aur log apne pyaron ko aahon aur siskiyun mein chhod jaatey hain yehi khuda ki marzi hoti hai. Moin Akhtar [Late] ko hum se bichhde aik saal beet gaya magar yaqeen nehin aata ke ab woh hum mein nehin aaj bhi aisa hi lagta hai ke woh apne makhsoos andaaz mein suit pehne huye isi shaan o shaukak ke saath nazar aa jaayengen aur kabhi rozi ban kar to kabhi seth ghafaar ban kar hamare chehron par muskurahat phelaegen. Kaha jaata hai ke log chadhte suraj ke pujari hote hain magar moin akhtar marhoom keliye aisa kehna sahi nehin hoga. Woh duniya mein bhi shaan se rahe aur duniya se jaate waqt bhi… Un se pyar karne walon ne un se bewafai nehin ki unhon ne jitna logon ko duniya mein hansaaya us se kehin zeyda rulakar is duniya se kooj kar gaye shaayad isliye ke woh sachche fankaar thhey aur apna kaam badi dayanat daari se ibadat samajh kar sar anjaam dete thhe, Isi liye logon ke dilon mein baste thhey. Moin Bhai ki zindagi ke saath buhat sari pareshaniyan, takleef aur beemariyan judi huyi thin magar unhon ne kabhi apne dukhon ko apne fun ke upar haavi hone nehin diya…

woh zeyda tar apne ghar mein baghair istari kiya hua sufaid shalwaar kameez pehne rehte magar jab kisi stage show mein jaana hota to shandaar suite mein badi shaan se aik bade artist ka roop dhaar lete. Woh kehte thhey aik fankaar ka apna kuch bhi nehin hota aur uska sab kuch awaam ka hota hai kiyunke awaam ne hi usey us muqaam tak punhanchaya hota hai isi liye awaam usey jaisa dekhna chahti hai usey waisa hi nazar aana chahiye… Woh dil ke aarze mein mubtala thhey aksar shows mein backstage unke saath doctor bhi mojood hota thha, Un ke liye itna shor,lights, aur dhuwaan munasib nehin thha magar woh kehte thhey main aik apne beemari ki wajah se itne logon ki khushi barbaad nehin karsakta. Hum log hairan ho jaate thhey stage ke peechhe takleef mein mubtala aik shakhs stage par qadam rakhte hi Moin Akhtar ban jaata thha aur apne saathi fankaron ke saath woh hallah gullah karta ke log hans hans kar lot pot hojaate thhey. Kitni baar aisa hua ke woh apne performance ke baad stage se utre aur unhen seedha hospital le jaana pada magar woh agle hi roz phir hanste muskurate logon mein khushiyan bikhernen keliye mojood hotey thhey.

Main aksar mazaak mein unse kehta Moin Bhai kitne paisey kamayengen kuch apni sehat ka bhi khayal karein toh muskura kar jawab detey thhey beta ghar beth gaya toh jaldi mar jaaunga…

Moin Bhai fankaron ki bepanah qadar kartey thhey isi liye agar kisi ko pareshani mein dekhtey toh sab se pehle aagey khade hotey thhey. Hukamati satah par fankaron ki paziraayi na honey par buhat kudtey thhey aur aksar ghussey mein kehte thhey woh quamein kabhi tarraqqi nehin kar saktin jahan bade bade fankaar kasma pusi ki haalat mein rehtey hon…

Moin Akhtar apni mehnat ke balbutey par duniya-e showbiz ka azeem sitara bane. Unhein kisi award ki zaroorat nehin thhi kiyunke unka award in ke chaahne waale thhey jo un se walhaana muhabbat karte thhey, karte hain aur karte rahengen… Woh bade insaan dost tabiyat ki maalik thhey, hukumati aur ghair hukumati sataah par buhat bade bade log unke maddah thhey magar unhin ne siwaye duaon ke kabhi apne liye kuch nehin manga magar logon ki har mumkin madat kartey rahe.

Moin Bhai ko yaad karke dil karney lagta hai aur andar se aik aawaz aati hai keh… Kash Moin bhai hum mein waapas aa jaayein… Kiyunke un jaisa koi doosra aana buhat mushkil hai…

Woh aik jumla buhat istemaal kiya kartey thhey “The Show Must Go On” Aaj main is jumley mein izafa karna chahta hoon. “Yeh The Show Must Go On But The Show Will Never Be The Same Without Moin Akhtar”.

Written By. Ali Haider