Meri Shadi Buhat Anokhi Thi….!
Na Mehndi ki rasm huyi’ na gana bajana hua,…!! Nikah hote hi pusar gaya keh main apni begum ko abhi hi saath lekar jaaunga….
Aaj kal shadiyon ka masam hai, buhat chhoti si pyari ladki ke abba numa shauhar buhat bekaar lagtey hain. Isi tarah achhey bhale smart aadmi ki phuppo type begum badi zehar lagti hain. Buhat pambey aadmi ki thigni b…egum aur nehaayat gorey chittey insaan kaali maasi jaisi begum bilkul hazm nehin hoti, magar kya kehen keh jorey aasman par bantey hain. Wasey jorey aasman par banen ya zameen par, nibhane toh insaan ko hi hotey hain. Nibhaney waale thigni begum ke saath bhi nibah kar lete hain aur jin ko nehin nibhani hoti unko hoor bhi kisi churail sey kam nehin lagti.
Kehtey hain shaadi ke laddu jo khaye woh bhi pachhtaye aur jo na khaaye woh bhi pachhtaye. Beherhaal aap ki kismat mein abba numa shauhar hon ya phuppi type ki begum, ladduon ko murad-e-ilzaam teharaane ki zaroorat nehin hai. Jo faisala karna hai soch samajh kar karen, warna jo naseeb mein ho usey aasmanon wale ki marzi samajh kar qabool kar lein. Aik baar rikshay mein pherd pahrdati huyi aik sahiba mere ghar aan phuanchi aur meri walidah se farmane lagin keh main Ali ki honey wali begum hoon. Meri ammi aisey bade cases nimta chuki thhin, magar phir bhi ehteyatan mujh se puchh lena behtar jaana. Main us zamaane mein buhat dair se sot thha, Is liye dopeher se pehle uthna na mumkin thha. Ammi ne usey buhat bhejne ki koshish ki magar woh kehne lagi ” Auto Riksha Mere abbu ka hai, aap kiraye ki fiqr na karein. Bas aik baar mujhe un se milne dein, phir jo faisla woh karegen, main maan lungi.” Ammi ko pehle hi meri harkaton par shakk thha, lehaaza kaan marod uthha diya. dopeher ke teen baje chillati dhoop mein gehre peele rang ka suit pehne woh meri haan ya naa ki muntazir thhi. Usey dekh kar mujhe chakkar se aagaye.Saanwla rang hona koi buri baat nehin hai, magar saanwle rang par saloni si munchhein dhoop mein cheekh cheekh kar mujhe chirda rahi thhi, ajeeb din thha. Woh Kon thhi, kahan se aayi thhi, main nehin jaan paya. Badi mushkil se ammi ne usey samjhaa bujha kar wapas bheja. Woh mere saamne usi riksha mein phard phardati huyi chali gayi aur phir kabhi waapas nehin aayi. Sochta hun agar us din kar deta toh roze qayamat baghair hisaab kitaab ke ALLAH Tala mere saare gunah bakhsh deta, magar is liye mujhe saari zindagi surmayi machhli numa biwi ke saath guzaarna pardta, jis ke main teyyar na thha.
Beher haal aap teyyar hon ya na hon, aap ka jorda aasman par baney ya zer-o-zameen, jab shaadi honi hoti hai to ho jaati hai. Meri shaadi bhi anokhi shaadi thhi. Chaar behnon ki shaadiyan hojaane ke bawajood main ammi ke hatthe nehin lag raha thha. Showbiz ki aik lardi ko pasand karta thha, jiski mukhtalif wajuh ki bina par shaadi na hopayi aur ab soch chuka thha keh hargiz shaadi na karoonga. Magar jordey toh aasman par hi bantey hain. Mere bachpan ke dost dost aamir ki begum yaani meri bhabi ne mujhe sabika se milaya jo meri bhabi ki behtareen dost thhi. Sabika mujhe achhi lagi aur ammi aur behnon keliye yeh khabar kaafi thhi. Na koi mangni, na rasm teen din baad direct nikah ka order paas hua aur teh paaya ke nikaah ke kuch maah baad rukhsati hojaayegi. Karachi ke aik khubsoorat hotel mein shaam 4 baje nikaah ki taqeeb huyi aur taqreeb ke ikhtetaam par jab sab ghar jaane ko teyyar thhey, main pisar gaya ke ab to nikaah hochuka hai so, main apni begum ko abhi hi saath lekar jaauonga. Thodi si bhag dar machi, kiyunke mutalba jaaez thha, Is liye sab maan gaye. Shukr hai shaadi mein thodi si dair ki magar rukhsati mein zara dair na ki. Kuch dinon baad shaan daar valiima aur Allah Allah khair salla…. Kuch logon ne aag lagaane ki koshish kikeh yeh kaisi shaadi thhi,Jiski na koi teyyari huyi na koi rasmein, mera bada saada sa jawad thha keh yeh shaadi un shaadiyon se behter hai, jin ke teyyariyan aur rasmein jitne din chalti hain, Itne din toh aksar ki shaadiyan bhi nehin chal paatin, bas aaj yehi kehna thha keh shaadi ke baare mein fikr na karen, jorey aasman wala banaye ya zameen wale, aap ki kismat ke abba numa shohar yaphuppi type ki begum aap se koi nehin chura sakta.
Written By. Ali Haider