Abhi chand roz pehlay apni donon baytiyon (Alizay or Alishba) k saath chhat per khail raha tha, mosam khush gawaar tha, thandee hawaain chal rahi thein. Alizay saaheba thori dair pehlay apni sharaarton ki wajah say apni mummi say thora bohot pit kar aayen thein is liyay mood off tha magar ab mayray behlaanay… say or achaanak mausam k khubsoorat ho jaanay say mood bohat behter ho gaya tha. Ab main aagay aagay tha or wo mayray peechhay peechhay…. Bar bar mujhay aik chapat lagaati, main peechhay mur kar daykhta to door say hansti or sawal karti ….
Baba kya Bachpan may kabhi aap ki pitaai huyi? Bataao na?
Main koi jawab nahi dayta or aagay bhaag jaata…
Wo phir chapat lagaati. Main murr kar dekhta to wohi zor ka qehqaha. Ye khayl kaafi dair say chal raha tha or ab to Alishba saheba bhi khayl may shaamil ho chuki thein. Na sirf zor zor say hans rahi thein balkay kood kood kar taaliyaan bhi baja rahi thein….
Is bar main mura or Yeh geet gaana shuroo ho gaya …..
Itna batadoon
Itna batadoon tumko
Bachpan ki Meethi
Badami Yadein
Wallah saari Sachchi thein
Yeh geet or is ki dhun Alizay ko itni achchhi lag rahi thee k samajh say baahar tha. Khail kood may, main nay is geet k zariyay saara bachpan or bachpan ki sharaartain bayaan kar dein thein. Alizay ki furmaaish per studio gaya. Recording ki tayyari shuroo kar dee or soch liya kay yeh geet Alizay & Alishba kay naam kar doonga.
Quoted from my upcoming Untitled Book. Ali Haider