Ab Main ne jaan liya hai keh baaqi rehne waali zaat sirf aik hi hai toh mera dil itna munawwar ho chuka hai keh stage ki lakhon lights bhi is roshani ka muqabala nehin kar sakti…..
Tum se kehna thha keh Ali Haider Hazire khidmat hai. Likhne ke is silsile ko “Tum Se Kehna Thha” ka naam kiyun diya, is ki wajah bari asaan aur samajh mein aane waali… hai aur woh yeh keh insaan najaane kitne rishte naaton se jaane main aur anjaane main juda hua hai, magar zeyada tar yehi baat sunne mein aayi keh jo baat mein kehna chahta thha, woh baat ussey keh na paaya… baaz auqaat yeh bhi dekhne mein aaya keh jo baat dil mein thhi, woh zubaan par na thhi aur jo zubaan par thhi, woh dil mein na thhi. Isi makro faraib ke jaal mein insaan be chara kehin jis se kuch na kuch kehna thha, usse buhat kuch key gaya aur jis se buhat kuch kehna thha, usse kuch bhi na keh saka… mujhe bhi tum se buhat kuch kehna thha, jo main na keh saka, isi liye aaj qalam uthane ki jasarat ki.
Umeed hai, ab woh sab zaroor kahunga jo mujhe Tum Se Kehna Thha…
Muharram ul haraam ke dinon mein ibadaat ka log khaas ehtamaam karte hain, namaazen pardhi jaati hain, rozey rakhe jaate hain, majaliz ka ehtamaam hota hai, nazar o nayaaz bardi aqidat aur ehtaraam ke saath logon ke gharon mein munaqid hoti hai aur gharibon aur maskinon ko langar khilaya jaata hai aur jagaah jagaah bari aur chhoti sabilen lagayi jaati hain, jis mein doodh, sharbat aur paani pesh kiya jaata hai, jo raahe haq mein shaheed huye.
Main aise hi aik muqaam par gum sum khoya hua kahra thha keh mere kaanon mein aawaz aayi “Ali Bhai”. Murd kar dekha toh koi saheb thhey, jin ka naam daaniyal thaa, london sey pakistan aaye huye thhey. Kisi zamaane mein mein london wembley arena mein mera concert thha, wahan inhon ne mujhe pehli baar live perform karte dekha thha, milne ki buhat koshish ki, magar hajoom zeyada thha backstage aana aur gaurds ko talashi dena aasan kaam na thha. Bahar haal, ab main tan o tanha in ke saamne khara thha. Thodi buhat alaik salaik ke baad foran bole Ali Bhai agar aap ijaazat ho toh main aap se do sawaal karna chahta hoon. “Main Ne Kaha” “Farmaiye” unhon ne apne sawaal pesh kiye aur maine jo dil mein thha woh jawaab diye.
Daniyaal ne pehla sawaal kiya ” Bhai Aap Stage Ke Baadshah Thhey. Duniya aap ke pichhe bhaagti thhi aur aaj aap yahan akele hain, aap ko khaali pan mahsoos nehin hota?
Maine jawab diya ” Haan Bhai” Main stage ka baadshah thha, duniya mere pichhe bhagti bhi thhi, main aage aage hota thha aur woh mere pichhe pichhe, magar aik waqt aisa aata thha jab main murd kar pichhe dekhta thha toh koi wahan maujood na hota thha, thaka haara pasine mein sharabo roshniyon ki duniya se nikal kar jab apne kamre mein aata thha, to Khali pan toh us waqt mehsoos hota thha. Ab toh jab se yeh jaan liya hai keh baaqi rehne waali zaat sirf aik hi hai, baaqi toh sab faani hai toh mera dil itna munawwar ho chuka hai keh bare bare se stage ki hazaron aur lakhon lights bhi is roshni ka muqabala nehin kar saktin”.
Daaniyal ne doosra sawaal kiya ” kya aisa nehin hosakta keh hamd o naat, sufiana kalaam, salaam, nauhe aur manqabat ke saath saath hum aap se purani jeans aur guitar bhi sunein? ” Us sawaal par maine ne kaha ” Jo sukoon mujhe allah tala ki hamd o sanah aur iske mukarrar kiya huye azeem tar bandon aur hastiyon ki shaan mein pardh kar mil raha hai, Agar mujhe woh purani jeans aur guitar mein mila toh zaroor gauonga. ” Bas yeh keh kar main aage bardh gaya, na jaane mere jawabat se woh mutmaeen huye ya nehin, magar mujhe bas itna hi kehna thha keh purani jeans aur guitar mujhe aaj bhi utna hi achha lagta hai. Kabhi Tv par nazar aata hai, toh ruk kar dekhta bhi hoon. Moaqa mila ya purani yaadon mein kho jauon toh gun gunata bhi hoon, magar is baat ka jawab dena mere liye mumkin nehin keh kya main doobara phit kabhi isey isi tarah stage par pesh kar sakoonga, kiyunke kuch raaste, kuch baatein aur kuch yaadein aisi hotin hain, jo insaan keh ikhteyar se bahar hotin hain. Na jaane kin kin raaston se insaan zindagi mein guzarta hai aur kaun kaun si baatein karta hai, magar aakhir mein sirf yaadein hi toh hain, jo baaqi reh jaati hain. Bas aaj Tum Se Yeh Kehna Thha.
Written by: Ali Haider